tu aaj aaina-ru mujh pas aa ja bahar-surat mujhe surat dikha ja tu aa ai aatish-e-barq-e-gham-e-yar mera ye khirman-e-hasti jala ja meri aati hai bas nind aae to aap ye apni chashm-poshi dekhta ja meri jari hain aansu aah qasid shitabi kah ye us ko majra ja likha main ne ye us yusuf ko kal khat azia dilbara nazuk-mizaja rakhi hai chah teri aah betab qalaq is mere dil ka tu mita ja khuda hi hai meri kashti ka hafiz khuda ke waste tu nakhuda ja na sunwa ghair ki baaten sun ai yar tere jo ji mein aawe tu suna ja wahi hai ja-ba-ja beja nahin ye baja hai us ki hi har ek ja-ja agar jata hai ai mere masiha ilaj is dard-e-dil ka tu bata ja meri sina pe rakh dast-e-nigarin meri ye aag dil ki tu bujha ja agar baitha hai naseh munh ko si baith wagarna yan se uth ai be-haya ja teri naubat hi 'ehsan' koi din yan tu danka ishq ka har ja baja ja