kahiye kis darja wo khurshid-jamal achchha hai mukhtasar ye ki wo aap apni misal achchha hai dusron ke dil-e-nazuk ka khayal achchha hai koi puchhe to main kah deta hun haal achchha hai aae din ki to nahin thik junun-khezi-e-dil mausam-e-gul to ye bas sal-ba-sal achchha hai mujh ko kafi hai main samjhunga use husn-e-jawab bas wo farma den ki sail ka sawal achchha hai ye jo bigda teri taqdir bigad jaegi dil hai dil ye ise jitna bhi sambhaal achchha hai is se zail ho 'nazar' us se ho dil tak raushan ru-e-khurshid se wo ru-e-jamal achchha hai