kabhi ahl-e-mohabbat yun na khauf-e-jism-o-jaan karte agar shaikh-o-barahman jashn-e-naqus-o-azan karte nawazish kash mujh par itni mere mehrban karte kabhi dil ki tasalli ke liye bhule se han karte hamare jazba-e-tamir se hote agar waqif to sadiyon barq ke shoale tawaf-e-ashiyan karte fasurda yun na hote ghuncha-o-gul mausam-e-gul mein agar dil se chaman ki aabiyari baghban karte nawed-e-fasl-e-gul aate hain dil apna tadap uttha asir-e-gham hain warna hum bhi sair-e-gulistan karte faza-e-sahil-e-ummid agar kuchh ras aa jati to hum kyun nazr-e-tufan kashti-e-umr-e-rawan karte hamein bhi mil gai hoti sanad manzil-shanasi ki saliqe se agar taqlid mir-e-karwan karte kabhi baad-e-saba ban kar kabhi jarub-kash ho kar tamanna thi musalsal hum tawaf-e-astan karte tha chup rahna hi behtar un ki bazm-e-naz mein 'ajiz' koi gham-ashna hota to sharh-e-dastan karte