kahiye kya aur faisle ki baat

kahiye kya aur faisle ki baat
wasl hai ek muamle ki baat

us ke kuche mein lakh sar-gardan
ek yusuf ke qafile ki baat

gesu-e-hur aur zahid bas
zikr-e-kakul hai silsile ki baat

ghair se hum ko rashk-e-sall-e-ala
kahiye kuchh apne hausle ki baat

ek aalam ko kar diya pamal
ye bhi hai koi mashghale ki baat

kya bigadna unhen nahin aata
sulh bhi hai mujadale ki baat

dekh kya kahte hain khuda se hum
ek zara hai muqable ki baat

is qadar aur qarib-e-khatir tu
aql se hai ye fasle ki baat

dawar-e-hashr se bhi haal kaha
nahin rukti kahin gile ki baat

na chale panw aur na sar hi chale
be-sar-o-pa hai aable ki baat

koi mazmun kabhi na pesh aaya
sher mein ki hai phir sile ki baat

ham-nashin arsh hil gaya shab-e-hijr
puchh mat ji ke zalzale ki baat

ai qalaq dil ko soch kar dena
kuchh nahin thik walwale ki baat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close