kahne mein nahin hain wo hamare kai din se phirte hain unhen ghair ubhaare kai din se jalwe nahin dekhe jo tumhaare kai din se andhere hain nazdik hamare kai din se be-subh nikalta nahin wo raat ko ghar se khurshid ke andaz hain sare kai din se hum jaan gae aankh milao na milao bigde hue tewar hain tumhaare kai din se kis chaak-e-gareban ka kiya aap ne matam kapde bhi nahin tum ne utare kai din se diwana hai saudai hai farmate hain aksar in namon se jate hain pukare kai din se dil phans gaya hai aap ki zulfon mein hamara hain banda-e-be-dam tumhaare kai din se munh gal pe rakh dete hain sote mein chimat kar kuchh kuchh to haya kam hui bare kai din se mehndi bhi hai missi bhi hai lakha bhi hai lab par kuchh rang hain be-rang tumhaare kai din se dar se tere kakul ke nahin chalte hain raste dam band hain is sanp ke mare kai din se aakhir meri aahon ne asar apna dikhaya ghabrae hue phirte ho pyare kai din se kis kushta-e-kakul ka rakha sog meri jaan gesu nahin kyun tum ne sanware kai din se pamal karoge kisi warafta ko apne atkheliyan hain chaal mein pyare kai din se ek shab mere ghar aan ke mehman rahe the aae nahin is sharm ke mare kai din se phir 'shauq' se kya us but-e-ayyar se bigdi hote nahin baham jo ishaare kai din se