mere hathon mein ubhra hai ye naqsha kis tarah ka hai meri aankhon mein thahra hai ye dariya kis tarah ka hai ye mera jism hai aazad lekin ruh qaidi hai khudaya koi batlae ye pinjra kis tarah ka hai meri aahon ko mere qahqahon ne dhank rakkha hai meri is lash ke upar ye malba kis tarah ka hai hai jin mein bojh duniya bhar ka mazhab ke hawalon se mere bachchon ke kandhe par ye basta kis tarah ka hai tumhein malum bhi hai ki wo niyyat ko parakhta hai ye kis lalach mein karte ho ye sajda kis tarah ka hai main khud ko dhundne nikli thi kuchh bikhre waraq le kar tere andar hun ja pahunchi ye naqsha kis tarah ka hai hamein aawaz dena hai nabi ko jaanib-e-mahshar khuda aawaz de jis ko wo banda kis tarah ka hai