kahne us shokh se dil ka jo main ahwal gaya wan na tafsil gai pesh na ijmal gaya dam-e-kakul se gila kya ye jo hai tair-e-dil aap apne ye phansane ko par-o-baal gaya dil-e-be-tab ki kya jaane hui kya surat pichhe us shokh sitam-gar ke jo filhaal gaya le gaya sath laga wo but-e-qatil ghar tak ya use mar ke raste mein kahin dal gaya khair wo haal hua ya ye hui shakl 'nazir' kuchh tassuf na karo jaane do janjal gaya