wo dil-nawaz hai lekin nazar-shanas nahin mera ilaj mere chaara-gar ke pas nahin tadap rahe hain zaban par kai sawal magar mere liye koi shayan-e-iltimas nahin tere jilau mein bhi dil kanp kanp uthta hai mere mizaj ko aasudgi bhi ras nahin kabhi kabhi jo tere qurb mein guzare the ab un dinon ka tasawwur bhi mere pas nahin guzar rahe hain ajab marhalon se dida-o-dil sahar ki aas to hai zindagi ki aas nahin mujhe ye dar hai teri aarzu na mit jae bahut dinon se tabiat meri udas nahin