kaho tum apni tumhein kya mila jafa kar ke hamein to dard ki daulat mili wafa kar ke hayat teri hai aur tere kaam aa jae teri dagar pe chala hun ye faisla kar ke utar na aae zamana mukhalifat pe kahin ki ja raha hun kisi ko charagh-pa kar ke junun se tark-e-talluq ka ye natija hai bhatak raha hun khirad ko main rahnuma kar ke wajud un ka hai ek dagh ru-e-hasti par jo baith jate hain qismat ka aasra kar ke wo aadmi hai haqiqat mein aadmi 'qasid' khata pe jis ko nadamat bhi ho khata kar ke