main yun to ek chhota sa diya hun magar rukh par hawa ke jal raha hun meri jaanib tawajjoh kaun dega hun aaina magar tuta hua hun nawazish aisi ki hai doston ne main apne sae se ab dar raha hun tumhi karte ada rasmen wafa ki to main taslim karta bewafa hun zamin par aa gaya hun aasman se ana ki rau mein jab bhi main baha hun tera bartaw jo ho sab gawara tujhe had se ziyaada chahta hun