kaho tum kis sabab ruThe ho pyare be-gunah hum sin

kaho tum kis sabab ruthe ho pyare be-gunah hum sin
churane kyun lagi hain yun teri ankhiyan nigah hum sin

iti na-mehrbani kyun kari nahaq gharibon par
kiya kya hum nin zalim apne ji ki baat kah hum sin

kya tha naqd-e-jaan apna nisar is waste tum par
ki be-taqsir yun dil mein rakhoge tum girah hum sin

taghaful chhudna zalim be-takalluf ho sitam mat kar
kapat ki aashnai ye nahin sakti nibah hum sin

tumhaari tarah milna chhod kar bedard ho rahna
kaho kyun-kar ye sakta hai jite jiyo ye gunah hum sin

lage hain ghair-farzin ki tarah mil kaj-rawi karne
hamesha jo ki kha jate hain sab baaton mein shah hum sin

main apni jaan sin hazir hun lekin 'abru' to rakh
khuda ke waste ita bhi rukha tu na rah hum sin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close