kaman hua hai qad abru ke gosha-giron ka tabahe haal teri zulf ke asiron ka dhale hai jis pe dil tis ka kiya hai zahir ism wahi hai wo ki jo marja hai in zamiron ka har ek sabz hai hindostan ka mashuq baja hai nam ki baalam rakha hai khiron ka murid pit ke kyun nara-zan na hon un ka bura hai haal ki laga hai zakhm piron ka birah ki rah mein jo kui gira so phir na utha qadam phira nahin yan aa ke dast-giron ka wo aur shakl hai karti hai dil ko jo taskhir abas hai shaikh tera naqsh ye lakiron ka saili mein jun ki latakka ho 'abru' yun dil sajan ki zulf mein latka liya faqiron ka