kahta hai diwana kya sach kya hai afsana kya matlab ki is duniya mein apna kya begana kya tu bhi musafir meri tarah tera mera thikana kya khud mein gum hain jab sab log zakhmon ka dikhlana kya baadal barish saya dhup sab se dhoka khana kya gham bhi apna khushiyan bhi phir ye rona gana kya dil bhi jhuke to baat bane yun hi sar ko jhukana kya bhul gaya mujh ko ek shakhs ab us ka yaad aana kya tu bhi 'zafar' khamosh hai ab band hua mai-khana kya