kahta na tha main ai dil tu us se ji laga na

kahta na tha main ai dil tu us se ji laga na
us ka to kya gaya ab tera hi ji gaya na

sau bar main ne jhanka chilman se us ko lekin
itna kaha na us ne kya dekhta hai aa na

main khub ro chuka hun zalim bas aur mujh ko
aazurdagi ki baaten kah kah ke tu rula na

jate hi yar ke tu kahta tha mar rahunga
waqt-e-widaa ai dil aakhir tu mar gaya na

kal main ne hanste hanste puchha ki koi dam yan
farmaiye to main bhi baitha rahun ki ya na

tewri chadha ke bola chal chal khabar le apni
ji lag raha hai tera jidhar tu apne ja na

kahta na tha ki har dam us ki gali mein mat ja
is baat ka ab aakhir charcha 'hasan' hua na


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close