sama sakta nahin pahna-e-fitrat mein mera sauda

sama sakta nahin pahna-e-fitrat mein mera sauda
ghalat tha ai junun shayad tera andaza-e-sahra

khudi se is tilism-e-rang-o-bu ko tod sakte hain
yahi tauhid thi jis ko na tu samjha na main samjha

nigah paida kar ai ghafil tajalli ain-e-fitrat hai
ki apni mauj se begana rah sakta nahin dariya

raqabat ilm o irfan mein ghalat-bini hai mimbar ki
ki wo hallaj ki suli ko samjha hai raqib apna

khuda ke pak bandon ko hukumat mein ghulami mein
zirah koi agar mahfuz rakhti hai to istighna

na kar taqlid ai jibril mere jazb-o-masti ki
tan-asan arshiyon ko zikr o tasbih o tawaf aula

bahut dekhe hain main ne mashriq o maghrib ke mai-khane
yahan saqi nahin paida wahan be-zauq hai sahba

na iran mein rahe baqi na turan mein rahe baqi
wo bande faqr tha jin ka halak-e-qaisar-o-kisra

yahi shaikh-e-haram hai jo chura kar bech khata hai
galim-e-buzar o dalq-e-uwes o chadar-e-zahra

huzur-e-haq mein israfil ne meri shikayat ki
ye banda waqt se pahle qayamat kar na de barpa

nida aai ki aashob-e-qayamat se ye kya kam hai
' girafta chiniyan ehram o makki khufta dar batha

labaalab shisha-e-tahzib-e-hazir hai mai-e-la se
magar saqi ke hathon mein nahin paimana-e-illa

daba rakkha hai is ko zakhma-war ki tez-dasti ne
bahut niche suron mein hai abhi europe ka wawaila

isi dariya se uthti hai wo mauj-e-tund-jaulan bhi
nahangon ke nasheman jis se hote hain tah-o-baala

ghulami kya hai zauq-e-husn-o-zebai se mahrumi
jise zeba kahen aazad bande hai wahi zeba

bharosa kar nahin sakte ghulamon ki basirat par
ki duniya mein faqat mardan-e-hur ki aankh hai bina

wahi hai sahib-e-imroz jis ne apni himmat se
zamane ke samundar se nikala gauhar-e-farda

farangi shishagar ke fan se patthar ho gae pani
meri iksir ne shishe ko bakhshi sakhti-e-khara

rahe hain aur hain firaun meri ghat mein ab tak
magar kya gham ki meri aastin mein hai yad-e-baiza

wo chingari khas-o-khashak se kis tarah dab jae
jise haq ne kiya ho nistan ke waste paida

mohabbat kheshtan bini mohabbat kheshtan dari
mohabbat aastan-e-qaisar-o-kisra se be-parwa

ajab kya gar mah o parwin mere nakhchir ho jaen
ki bar fitrak-e-sahib daulat-e-bastam sar-e-khud ra

wo dana-e-subul khatmur-rusul maula-e-kul jis ne
ghubar-e-rah ko bakhsha farogh-e-wadi-e-sina

nigah-e-ishq o masti mein wahi awwal wahi aakhir
wahi quran wahi furqan wahi yasin wahi taha

'sanai' ke adab se main ne ghawwasi na ki warna
abhi is bahr mein baqi hain lakhon lulu-e-lala


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close