kahta yahi ghubar-e-sar-e-rahguzar hai lena qadam har ek ke hamara shiar hai hain dafn is mein ahd-e-jawani ki hasraten pahlu mein dil nahin hai hamare mazar hai kante tadap rahe hain inhen puchhta hai kaun gul ke liye hi bagh mein fasl-e-bahaar hai dil ko ba-qadr-e-shauq na rahat mili na gham taqdir mein gharib ki gul hai na khar hai ashk-e-wafa se gard-e-kudurat na dhul saki yani tumhaare dil mein abhi tak ghubar hai