kadam ki chhanw mein bansi baja raha hai koi faza-e-burj ko be-khud bana raha hai koi tadap rahi thin jo maujen wo soi jati hain zarur sahil-e-jamna pe ga raha hai koi sukut-e-sham mein gana hai kis qadar pur-kaif sharab-e-nab ke dariya baha raha hai koi suna tha ruh ne jannat mein jo lab-e-kausar wahi tarana-e-dilkash suna raha hai koi sada jo kan mein aai to gopiyan bolin utho utho ki hamin ko bula raha hai koi ghazab ka soz khudaya hai nala-e-nai mein dil-o-jigar ko hamare jala raha hai koi kahin tadap hai ye naghma kahin sukun-o-qarar jaga raha hai koi ya sula raha hai koi