kahte hain bahaar aai gul phul nikalte hain hum kunj-e-qafas mein hain dil sinon mein jalte hain ab ek si be-hoshi rahti nahin hai hum ko kuchh dil bhi sambhalte hain par der sambhalte hain wo to nahin ek chhinta rone ka hua gahe ab dida-e-tar aksar dariya se ubalte hain un panw ko aankhon se hum malte rahe jaisa afsos se hathon ko ab waisa hi malte hain kya kahiye ki aaza sab pani hue hain apne hum aatish-e-hijran mein yun hi pade galte hain karte hain sifat jab hum lal-e-lab-e-jaanan ki tab koi hamein dekhe kya lal ugalte hain gul phul se bhi apne dil to nahin lagte tuk ji logon ke be-jaanan kis taur bahalte hain hain narm sanam go na kahne ke tain warna patthar hain unhon ke dil kahe ko pighalte hain ai garm-e-safar yaran jo hai so sar-e-rah hai jo rah sako rah jao ab 'mir' bhi chalte hain