shab khumar-e-shauq-e-saqi rustakhez-andaza tha ta-muhit-e-baada surat khana-e-khamyaza tha yak qadam wahshat se dars-e-daftar-e-imkan khula jada ajza-e-do-alam dasht ka shiraaza tha mana-e-wahshat-khirami-ha-e-laila kaun hai khana-e-majnun-e-sahra-gard be-darwaza tha puchh mat ruswai-e-andaz-e-istighna-e-husn dast marhun-e-hina rukhsar rahn-e-ghaza tha nala-e-dil ne diye auraq-e-lakht-e-dil ba-baad yaad-gar-e-nala ek diwan-e-be-shiraaza tha hun charaghan-e-hawas jun kaghaz-e-atish-zada dagh garm-e-koshish-e-ijad-e-dagh-e-taza tha be-nawai tar sada-e-naghma-e-shohrat 'asad' boriya yak nistan-alam buland aawaza tha