kahte hain id hai aaj apni bhi id hoti hum ko agar mayassar jaanan ki did hoti qimat mein did-e-rukh ki hum naqd-e-jaan lagate bazar-e-naz lagta dil ki kharid hoti kuchh apni baat kahte kuchh mera haal sunet naz-o-niyaz ki yun guft-o-shunid hoti jalwe dikhate jate wo tarz-e-dilbari ke aur dil mein yan hawa-e-naz-e-mazid hoti tegh-e-nazar se dil par wo war karte jate aur lab pe yan sada-e-hal-mim-mazid hoti abru se un ke ghamza tir-e-ada lagata ye dil qatil hota ye jaan shahid hoti kuchh hausla badhata andaz-e-lutf-e-jaanan kuchh daghdagha sa hota kuchh kuchh umid hoti