ata ke zor-e-asar se bhi tut sakti thi wo shakh bar-e-samar se bhi tut sakti thi main dil mein sach ki numu se tha khauf khaya hua ki sip tab-e-gohr se bhi tut sakti thi usi pe tha mere har ek tir ka takiya kaman jo khinch ke dar se bhi tut sakti thi padi thi aah ko hi khud-numai ki warna khamoshi dida-e-tar se bhi tut sakti thi jude hue the bahut waswase khayalon se so nind khwab ke shar se bhi tut sakti thi dilon ki shishagari kar-gah-e-hasti mein hunar ke zer o zabar se bhi tut sakti thi ye aab wo tha ki aatish bhadak na pane ki riwayat ek sharar se bhi tut sakti thi main ek aisa kinara tha jis ki qurbat ko wo lahar apne bhanwar se bhi tut sakti thi har ek lashkari itra raha tha jis pe wo tegh khayal-ha-e-zarar se bhi tut sakti thi zamin na hoti agar is kamal ki hamil qayamat aasman par se bhi tut sakti thi tu khush-nasib tha warna teri ana ki fasil kamala-e-sirf-e-nazar se bhi tut sakti thi