kahte to ho tum sab ki but-e-ghaaliya-mu aae

kahte to ho tum sab ki but-e-ghaaliya-mu aae
yak martaba ghabra ke kaho koi ki wo aae

hun kashmakash-e-naza mein han jazb-e-mohabbat
kuchh kah na sakun par wo mere puchhne ko aae

hai saiqa o shoala o simab ka aalam
aana hi samajh mein meri aata nahin go aae

zahir hai ki ghabra ke na bhagenge nakirain
han munh se magar baada-e-doshina ki bu aae

jallad se darte hain na waiz se jhagadte
hum samjhe hue hain use jis bhes mein jo aae

han ahl-e-talab kaun sune tana-e-na-yafat
dekha ki wo milta nahin apne hi ko kho aae

apna nahin ye shewa ki aaram se baithen
us dar pe nahin bar to kabe hi ko ho aae

ki ham-nafason ne asar-e-girya mein taqrir
achchhe rahe aap is se magar mujh ko dubo aae

us anjuman-e-naz ki kya baat hai 'ghaalib'
hum bhi gae wan aur teri taqdir ko ro aae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close