kahti hai namaz-e-subh ki bang uth subh hui hai kuchh dua mang dekha main chahaar dang-e-alam par hath laga na kuchh bhi ek dang simin badan us ka chandni mein darta hun pighal na jawe jun rang tuta jo hamara shisha-e-dil pahunchegi falak tak us ki gul-bang bahrup hai ye jahan ki jis mein har roz naya bane hai ek sang karta hun sawal jis ke dar par aati hai yahi sada ki phir mang dilli mein paden na kyun ke dake choron ki har ek ghar mein hai thang ai shokh ye khun-e-'mushafi' hai chal bach ke na aate jate yun lang