kahun jo karb faqat karb-e-zat samjhoge magar kabhi to meri nafsiyat samjhoge ye umr jao bhi do chaar din ki kya hai bisat abhi kahan se gham-e-kaenat samjhoge mera wajud sila hai meri shikaston ka bigad bigad ke banoge to baat samjhoge abhi to jumbish-e-lab par hazar pahre hain jo lab khule bhi to kya dil ki baat samjhoge idhar na aao ab is shahar mein ujalon ke wo tirgi hai ki din ko bhi raat samjhoge