mujh ko manzar ke sile mein wo sada bhejta hai khub wo qarz mera kar ke ada bhejta hai sarparasti bhi wo karta hai zabardasti se dard karta hai ata aur dawa bhejta hai mere dushman ki hai talwar meri gardan par aur tu hai ki mujhe harf-e-dua bhejta hai sanp jab jhut ke duniya mein bahut ho jaen dast-e-musa mein khuda sach ka asa bhejta hai 'aftab' us ne parakhna ho kisi ko to agar wo ghani karta hai aur dar pe gada bhejta hai