kahun kya iztirab-e-dil zaban se rahe jate hain sab pahlu bayan se unhen chahka raha hun chand kah kar ewaz lena hai mujh ko aasman se hum aise na-tawan wo aise nazuk uthae kaun parda darmiyan se shamim-e-gul ne badh kar haal mara qadam bahar jo rakkha aashiyan se tadap meri taraqqi kar rahi hai zamin takra na jae aasman se khuda rakkhe chaman ka phul ho tum hanso khelo nasim-e-bostan se nigah-e-gul se bulbul yun giri hai gire jis tarah tinka aashiyan se zamin-e-sher hum karte hain aabaad chale aate hain mazmun aasman se bada langar tha sher-o-shaeri ka utha kyun-kar 'jalil' na-tawan se