mujh ko daryuza-gar-e-khwab bana deta hai jab bhi aata hai meri pyas badha deta hai puchh leta hai mera haal wo diwaron se apne hi hath se taswir bana deta hai us ne sikha hi nahin khwab mein rahne ka safar aisa koi nahin jo aa ke jaga deta hai sham hote hi sanwarta hai meri aankhon mein ye nazara hi mujhe aag bana deta hai aaina dhund hi leta hai mujhe aakhir-kar lutf-e-taid mujhe tujh se siwa deta hai