kai din se hum bhi hain dekhe use hum pe naz o itab hai kabhi munh bana kabhi rukh phira kabhi chin-jabin pe shitab hai hai phansa jo zulf mein us ke dil to bata den kya tujhe ham-nashin kabhi bal se bal kabhi kham se kham kabhi tab-chin se tab hai wo khafa jo hum se hai ghuncha-lab to hamari shakl ye hai ki ab kabhi ranj-e-dil kabhi aah-e-jaan kabhi chashm-e-gham se pur-ab hai nahin aata wo jo idhar zara hamin intizar mein us ke yan kabhi jhankna kabhi takna kabhi be-kali paie-khwab hai wo 'nazir' hum se jo aa mila to phir us ghadi se ye aish hain kabhi rukh pe rukh kabhi lab pe lab kabhi saghar-e-mai-e-nab hai