yaad aata hai roz o shab koi hum se rutha hai be-sabab koi lab-e-ju chhanw mein darakhton ki wo mulaqat thi ajab koi jab tujhe pahli bar dekha tha wo bhi tha mausam-e-tarab koi kuchh khabar le ki teri mahfil se dur baitha hai jaan-ba-lab koi na gham-e-zindagi na dard-e-firaq dil mein yunhi si hai talab koi yaad aati hain dur ki baaten pyar se dekhta hai jab koi chot khai hai bar-ha lekin aaj to dard hai ajab koi jin ko mitna tha mit chuke 'nasir' un ko ruswa kare na ab koi