kai din suluk widaa ka mere dar pai dil zar tha kabhu dard tha kabhu dagh tha kabhu zakhm tha kabhu war tha dam-e-subh bazm-e-khush jahan shab-e-gham se kam na thi mehrban ki charagh tha so tu dud tha jo patang tha so ghubar tha dil khasta-lohu jo ho gaya to bhala hua ki kahan talak kabhu soz-e-sina se dagh tha kabhu dard-o-gham se figar tha dil-e-muztarib se guzar gai shab-e-wasl apni hi fikr mein na dimagh tha na faragh tha na shakeb tha na qarar tha jo nigah ki bhi palak utha to hamare dil se lahu baha ki wahin wo nawak-e-be-khata kaso ke kaleje ke par tha ye tumhaari in dinon dostan mizha jis ke gham mein hai khun-chakan wahi aafat-e-dil-e-ashiqan kaso waqt hum se bhi yar tha nahin taza-dil ki shikastagi yahi dard tha yahi khastagi use jab se zauq-e-shikar tha use zakhm se sarokar tha kabhu jaegi jo udhar saba to ye kahiyo us se ki bewafa magar ek 'mir' shikasta-pa tere bagh-e-taza mein khar tha