muddat se hun main sar-khush-e-sahba-e-shaeri nadan hai jis ko mujh se hai dawa-e-shaeri main lucknow mein zamzama-sanjaan-e-shahr ko barson dikha chuka hun tamasha-e-shaeri phabta nahin hai bazm-e-amiran-e-dahr mein shaer ko mere samne ghaugha-e-shaeri ek turfa khar se kaam pada hai mujhe ki hae samjhe hai aap ko wo masiha-e-shaeri hai shaeron ki ab ke zamane mein ye maash phirte hain bechte hue kala-e-shaeri leta nahin jo mol koi muft bhi use khiffat utha ke aate hain ghar wae shaeri ai 'mushafi' ze-gosha-e-khalwat-burun khiram khalist az-barae tu khud ja-e-shaeri har sifla-ra zaban-o-bayan-e-tu-kai rasad aare tui fughani o baba-e-shaeri majnun manam chira digare ranj mi burad dar hissa-e-man aamada laila-e-shaeri