kai paDe hain farebi hisar shishe mein

kai pade hain farebi hisar shishe mein
utha ke sang-e-giran koi mar shishe mein

jahan-e-taza ki taskhir baad mein karna
tu apne dil ko to pahle utar shishe mein

ye kis ka aks farozan hai bar dil-e-darwesh
dhamal karne lagi hai bahaar shishe mein

kabhi to aa dil-e-majzub ki tasalli ko
mazid badhne laga intizar shishe mein

tu khud ko khoj zara aur aaine mein dekh
pade hain aib tere be-shumar shishe mein

agarche pusht kiye baitha tha meri jaanib
wo dekhta tha mujhe bar bar shishe mein

purane khal-o-khad apne nikhaarte hue wo
hazar bar hua ashk-bar shishe mein

sanwar raha tha muqabil the aaine aur main
mujhe bhi us ne kiya tha shumar shishe mein

bas ek shakhs hai 'ahmad' jo mujh ko jaanta hai
main dekhta hun use gham-gusar shishe mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close