hum kabhi aag the jo bujh ke hue rakh ki manind

hum kabhi aag the jo bujh ke hue rakh ki manind
waqt ke aage pade hain khas-o-khashak ki manind

khilat-e-faqr ka talib hun magar khwahish-e-duniya
chipki rahti hai badan se meri poshak ki manind

ab bhala kaun tarashega mere bigde hue naqsh
ab koi chaak ghumata hi nahin chaak ki manind

sar kuchalne ke alawa koi rasta hi nahin tha
wo lada mujh se kisi mar-e-khatarnak ki manind

apne andar se nikalne ki ijazat nahin hum ko
dekhte hain jahan ko dida-e-idrak ki manind

main kisi aur hi duniya mein chala aaya hun 'ahmad'
ye jahan lagta nahin mujh ko meri khak ki manind


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close