kaif-e-gham lutf-e-alam yaad aaya kis ka andaz-e-karam yaad aaya jada-e-zist ke har mod pe kyon kakul-e-yar ka kham yaad aaya kar gaya gharq-e-nadamat dil ko jab teri aankh ka nam yaad aaya na gaya phir tere aane ka khayal tera jaana bhi na kam yaad aaya paya zulmat se tajalli ka shuur dair mein ja ke haram yaad aaya khul gaya wusat-e-daman ka bharam kyon tera dast-e-karam yaad aaya aa gaya nam-e-khuda lab pe mere jab wo patthar ka sanam yaad aaya ji mein aaya hi tha jine ka khayal yak-ba-yak shahr-e-adam yaad aaya fikr hai khuld-ba-daman 'athar' kucha-e-rashk-e-iram yaad aaya