kaif-e-surur-o-soz ke qabil nahin raha ye aur dil hai ab wo mera dil nahin raha sine mein maujzan nahin tufan-e-arzu takrae kis se mauj ki sahil nahin raha jo kuchh mata-e-dil thi wo sab khatm ho gai ab karobar-e-shauq ke qabil nahin raha bazm-e-tarab bisat-e-masarrat fareb hain main aish-e-mustaar ka qael nahin raha kam-maegi ne dil tujhe be-qadr kar diya duzd-e-nigah-e-naz ke qabil nahin raha jins-e-wafa ka dahr mein bazar gir gaya jab ishq faiz-e-husn ka hamil nahin raha aala bhi hote hain kabhi asfal se bahra-war gul kya khilen agar karam-e-gil nahin raha