dast-e-junun mein daman-e-gul ko lane ki tadbir karen narm hawa ke jhonko aao mausam ko zanjir karen mausam-e-abr-o-baad se pochhen lazzat-e-sozan ka mafhum mauja-e-khun se daman-e-gul par harf-e-junun tahrir karen aamad-e-gul ka virani bhi dekh rahi hai kya kya khwab virani ke khwab ko aao wahshat se tabir karen raat ke jage subh ki halki narm hawa mein soe hain dekhen kab tak nind ke mate uthne mein takhir karen tanhai mein kahish-e-jaan ke hathon kis aaram se hain kaise apne naz uthaen kya apni tahqir karen betabi to khair rahegi betabi ki baat nahin marna itna sahl nahin hai jine ki tadbir karen ghum rahe hain dasht-e-junun mein un ke kya kya rup 'jamil' kis ko dekhen kis ko chhoden kis ko ja ke asir karen