kaif jo ruh pe tari hai tujhe kya malum umr aankhon mein guzari hai tujhe kya malum nigah-e-awwal-e-bebak ne mere dil par teri taswir utari hai tujhe kya malum mehr ya qahr tere chahne wale ke liye har ada jaan se pyari hai tujhe kya malum waqt katta hi nahin subh-e-masarrat aa ja raat bimar pe bhaari hai tujhe kya malum ek muddat se yahan umr-e-rawan tere baghair waqf-e-alam-shumari hai tujhe kya malum khanda-zan surat-e-gul daman-e-sad-chaak mera parcham-e-fasl-e-bahaari hai tujhe kya malum gul-e-nau-khasta kanton ko haqarat se na dekh kis ki taqdir mein khwari hai tujhe kya malum 'wajd' na-paidi-e-ehsas-e-masarrat ka sabab aadat-e-girya-o-zari hai tujhe kya malum