shayad ki mar gaya mere andar ka aadmi aankhen dikha raha hai barabar ka aadmi suraj sitare koh o samundar falak zamin sab ek kar chuka hai ye gaz bhar ka aadmi aawaz aai pichhe palat kar to dekhiye pichhe palat ke dekha to patthar ka aadmi is ghar ka telephone abhi jag jaega sahab ko le ke chal diya daftar ka aadmi zarre se kam-bisat pe suraj-nigahiyan 'khalid' bhi apna hai to muqaddar ka aadmi