kaif nasib ab kahan ghunchon ke bhi jamal mein kis ne ye rang bhar diya sadgi-e-khayal mein qatra-e-shabnam-e-haya ghuncha-o-gul araq araq kya kya simat ke aa gaya daman-e-infial mein jurat-e-iztirab-e-dil tu ne bata ye kya kiya un ki bhi baat aa gai koshish-e-arz-e-haal mein kaisi hadish-e-rang-o-bu zikr-e-jamal-o-nur kya husn hi jab na aa saka daira-e-khyal mein ishq hi khud hai ek jahan rasm-e-quyud se alag ishq si koi shai nahin daman-e-mah-o-sal mein nashtar-e-gham se kam nahin meri asar-paziriyan der lagegi ab zara zakhm ke indimal mein jaan-e-hazin nahin faqat mahw-e-fughan-e-arzu raunda hua sa dil bhi hai hasrat-e-paemal mein hijr-o-visal-o-ranj-o-gham hasrat-o-yas-o-arzu har shai ubhar ke aa gai mubham se ek sawal mein