tum ho bazm-e-aish hai wan aur sohbat-dariyan hum hain kunj-e-gham hai yan aur jaan se bezariyan tum ko sair-e-bagh-o-gul-gasht-e-chaman ka wan hai shauq yan badan par hain hujum-e-dagh se gul-kariyan dhyan hai aaraish-e-zulf-e-pareshan ka tumhein yaad hain haal-e-pareshan ki meri kuchh khwariyan tum safa-e-said-o-bazu dikhate ho wahan hum pe yan mu-e-badan karte hain nashtar-dariyan tum ne dikhlai wahan pith aur choti ki phaban yan meri chhati pe hain kale ne lahren mariyan nek-o-bad donon se yan hum ne to aankhen mund lin tum wahan chitwan ki dikhlate ho jadu-kariyan yan ba-rang-e-paikar-e-taswir hum khamosh hain guftugu ki tum dikhate ho wahan tarrariyan qahqahe tum marte ho wan ba-awaz-e-buland dushmanon se yan chhupa kar hum hain karte zariyan har mariz-e-gham ki jaan-bakhshi ka hai wan tum ko dhyan khinch gain yan tul-e-shiddat se meri bimariyan iztirab-e-dil se be-parda hua yan raaz-e-ishq sujhti hain wan tumhein har baat mein tahdariyan kya kisi se baat kije bhulte ek dam nahin un bhalaon se wo baaton mein teri ayyariyan chhin kar baaton mein dil ko 'lutf' se wo but bane yaad rakhna ghair ki karna wahan dil-dariyan