kaisa kaisa dar pas-e-diwar karna pad gaya ghar ke andar aur ghar tayyar karna pad gaya us kinare ne kaha kya kya kahun kya baat thi baat aisi thi ki dariya par karna pad gaya phir bisat-e-khwab uthai aur ojhal ho gae sham ka manzar hamein hamwar karna pad gaya ek zara sa rasta manga tha virani ne kya apna sara ghar hamein mismar karna pad gaya wo kahani waqt ka jis mein tasawwur hi nahin us kahani mein hamein kirdar karna pad gaya sarsari samjha teri aankhon ko hum ne aur phir sarsari chizon pe bhi israr karna pad gaya aakhirash sab khwab us manzil pe pahunche hain jahan apni aankhon ka hamein inkar karna pad gaya