kaisa saman kaisi manzil kaisi rah kaisa safar ham-safar hi jab nahin hai kaise phir hoga safar nafs-e-ammara se nafs-e-mutmainna tak ki rah aatishin mausam zamin pur-khar aur tanha safar hasrat-e-didar aisi faisla-kun thi meri lamhe bhar mein ho gaya ek umr sa lamba safar pahle manzil samne thi ab nazar se dur hai jaane kaise kya hua kis mod par bhatka safar in chatanon mein kahan ye hausla roken mujhe karta hun 'jawed' main bhi surat-e-dariya safar