kisi hakim na attar se shifa hogi visal-e-husn-e-tarah-dar se shifa hogi hamare sar mein hai sauda-e-wahshat-e-paiham hamein jamal-e-rukh-e-yar se shifa hogi ai tegh-e-chashm-e-sanam kar jigar pe tirchha war agar hui to usi war se shifa hogi naqab-e-rukh ko dam-e-wasl alwidaa kahiye mariz-e-hijr ko didar se shifa hogi dawa se badh ke dawa hai laban-e-surkh ka lams qatil-e-husn ko hathiyar se shifa hogi dikhaya jae unhen aaina barae shifa to apne aks-e-sharar-bar se shifa hogi phir aazmaenge ek nuskha-e-ghalat 'asi' agar na aap ko ashaar se shifa hogi