kaise aa pahunchi hai gulshan ki hawa zindan mein dil ka jau zakhm tha ek phul bana zindan mein aisa dil-kash tha ki thi maut bhi manzur hamein hum ne jis jurm ki kati hai saza zindan mein main gulistan mein bhi tanha tha magar yaad to thi kaisa be-yar-o-madad-gar hua zindan main main nai tanhai se tang aa ke use yaad kiya ab mere sath hi rahta hai khuda zindan mein wo jo gulshan mein mere gham ka mudawa na hua chand nikla to use yaad kiya zindan mein aaj jab aankh khuli hai to faza hai khamosh subh-dam kaun su-e-dar gaya zindan mein