main jin bulandiyon pe tha jin se gira bhi tha mera khayal hai ki wahan par khuda bhi tha utra zamin par to nigahen chamak uthin ye husn garche khuld se kam tha juda bhi tha us ne zamin par bhi na jine diya mujhe ye shewa-e-saza ki khuda ko rawa bhi tha pesh-e-nazar tha hazrat-e-adam ke jo shajar thi lazzat-e-samar to khayal-e-baqa bhi tha shayad ki sochta bhi ho mere liye wo husn mujh ko nikal kar jo mujhe dekhta bhi tha kyun us ne arsh-o-farsh pe apna liya mujhe kya tujh sa do-jahan mein koi dusra bhi tha 'arif' wo kar raha tha tabassum bhi zer-e-lab jab aalam-e-itab mein mujh se khafa bhi tha