kaise hangama-e-fursat mein mile hain tujh se hum bhare shahr ki khalwat mein mile hain tujh se sae se saya guzarta hua mahsus hua ek ajab khwab ki hairat mein mile hain tujh se itna shaffaf nahin hai abhi aks-e-dil-o-jaan aaine gard-e-masafat mein mile hain tujh se is qadar tang nahin wusat-e-sahra-e-jahan hum to ek aur hi wahshat mein mile hain tujh se juz gham-e-ishq koi kaam nahin hai so ai husn jab mile ek nai haalat mein mile hain tujh se waqt ka sail-e-rawan rok hi lenge shayad wo jo phir milne ki hasrat mein mile hain tujh se itna khush-fahm na ho apni pazirai par hum kisi aur mohabbat mein mile hain tujh se yaad ka zakhm bhi hum tujh ko nahin de sakte dekh kis aalam-e-ghurbat mein mile hain tujh se ab agar laut ke aae to zara thahrenge hum musafir hain so ujlat mein mile hain tujh se