tu be-naqab hai ai mah ye hain sharab ke din ki mahtab ki raaten hain aaftab ke din jawan tu bhi hai apne bhi hain shabab ke din bila hisab de bose nahin hisab ke din hua safed teri intizar mein aakhir ajab tarah se phire dida-e-pur-ab ke din tere labon se hai ru-kash ajab tarah ke hain mast lage hain din use kyun-kar phiren sharab ke din qarar ye tha ki itwar ke din aaunga kaha tha main ne gae mere iztirab ke din hua do-chand alam aah roz-e-yak-shamba wo aaftab mera aaya aaftab ke din wo zulf mujh pe hai be-wajh raat-din barham kisi tarah se na badhti nahin itab ke din jigar se shoale nikalte hain chashm se aansu is aab-o-tab se katte pech-o-tab ke din na jao shaikh ji aao qarib hai holi khafa na ho ki chale aate hain khitab ke din pilai mai ramazan mein na mujh ko ai saqi bade azab se katte hain ye sawab ke din azab-e-hijr bhi dozakh se kam nahin 'ehsan' ilahi mujh ko na dikhlaiyo azab ke din