kaise kah den halal kuchh bhi nahin us ka husn-o-jamal kuchh bhi nahin kyon wo hi hai mere tasawwur mein jis ko mera khayal kuchh bhi nahin tanha rahne ki jis ko aadat hai us ko hijr-o-visal kuchh bhi nahin koi jata hai to chala jae us ka mujh ko malal kuchh bhi nahin baat bas mujh se wo nahin karta us ka mujh se wabaal kuchh bhi nahin us ki shokhi bayan ho kaise us ke aage ghazal kuchh bhi nahin bakhsh di us ne sirf tanhai gul anguthi rumal kuchh bhi nahin ye sukhan rab ki hi inayat hai is mein mera kamal kuchh bhi nahin chaar-su dekho hai bapa mahshar dost ahl-o-ayal kuchh bhi nahin hai jo 'mukhtar' us badan mein mahak rang khushbu gulal kuchh bhi nahin