zulf ke Dore na Dalo yar mujh par

zulf ke dore na dalo yar mujh par
aaj itna to karo upkar mujh par

kya hua mujh ko mujhe kuchh to batao
hans rahe hain 'ishq ke bimar mujh par

kab talak pherenge mujh se aap nazren
ek nazar to daliye sarkar mujh par

roz to jhagda kiya karte ho mujh se
aaj kyon barsa rahe ho pyar mujh par

us pe main ne bhi likhin do-chaar ghazlen
us ne bhi nazmen likhin do-chaar mujh par

jab se main teri kahani ka hun hissa
ab nahin janchta koi kirdar mujh par

jaanta tha ghum-phir ke aaega hi
'ishq ka ilzam aakhir-kar mujh par

kya pata mujh ko ki aakhir kyon bithae
us ke ghar walon ne pahre-dar mujh par

'ishq to aasan hai main kar bhi leta
hai tika lekin mera ghar-bar mujh par


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close