kaise kahen dar-ba-dar nahin hum

kaise kahen dar-ba-dar nahin hum
ghar mein bhi hain aur ghar nahin hum

jo rah mein sath chhod jaen
aison ke to ham-safar nahin hum

apnon ki koi khabar na rakkhen
itne bhi to be-khabar nahin hum

uth jae kab apna aab-o-dana
insan hain koi khizar nahin hum

dekhen na utha ke aankh us ko
aise bhi to kam-nazar nahin hum

sach hai ki khuda ke ru-ba-ru bhi
sharminda khataon par nahin hum

har an-kahi baat sun rahe hain
diwar hain koi dar nahin hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close